WORDS BELONG TO LIFE
COLORFUL LIFE STAGE |
Suna hai tazurbekaro se
Zindagi ki raah mein chalte chalte, zindagi samajhdaar bana deti hai,
Mai bhi chal samajhdaar bane sang zindagi ke
Pata chala Rishton ke bazzar mein pahucha kar, dukandaar bana deti hai
Kal hisaab khol hawa ka maine
dekha meri saanson se ek saans wo jada leti hai,
atrangi hisaab ki wjah puchi usse,
toh pata chala,
har pal saath chalne ka kar leti hai.
Purani sahi,
magar itni si kahani ye saari hai,
pathar, pahad, or bojh sab halke
bhare bazzar mein,
teri khali jeb sabse bhari hai.
Kamal hai baarish bhi
Girta paani hai,
tut ti bundein hai,
milta hai sukun dharti ko
fir bhi log baarish ke deewane hai..
Ajib chaal hai logo ki
zindagi mein bas do khawaish karna
Pahli zindagi bhar sukun se rahna
dusri sukun ke liye zindagi bhar mehnat karna
Bade vichitar tareeke hai
Choti ho kar bhi ghadi ki suyia har war ko kaat ti hai
Or bejubaan ho kar bhi juban
bin bole har taqaat ko todti hai
Aagey or bhi kisse honge
Mulakaat or bhi hongi apse
Paani mein dekhna khud ki shaksiyaat
Kai parde uthenge khud ke chipe raaj se.
Comments
Post a Comment
THANKYOU FOR YOUR PRECIOUS COMMENT.
ITS MY EMAil TRY IT IF YOU WANT TO CONTACT
ankur82garg@gmail.com