MOHOBAAT KI WAJAH
Waqt ke darwaaje par khade hokar
hum waqt ka pata puch rahe the
Mohobaat beintaaha unse karne ke baad
hum mohobaat ki saja unse puch rahe the
Badalti duniya badalte log mile
Dhadkan apni har pal badal rahi thi
Badal rahi thi meri zindagi ki rahein
Magar badalane ki wajah unse puch rahe the
Khawaish se badhkar humne khawab dkhe
Yaari se jada dildaar dekhe the
Sambhal mujhe usne gira jabhi main
Hum khud ke girne ki wajah unse puch rahe the
Yuhi chaht huyi thi unse
Majboori nhi khawaish banaya tha
Usko khud ki khushi banaya khushi se
Magar apne har khushi ko bhulne ki wajah unse puch rahe the
Khel sikandar ka tha
Bissad mohobaat ki thi
Har baaji humne jeete khel ki
Magar hum uske harne ki wajah puch rahe the
Usne sirf mohobaat ki
Chahat humari thi
Khud dur huye duniya se
magar hum uske bewajah wafa ki wajah puch rahe the
Har pal dil mein wo chadhti gayi
Dhadkan humre dil ki wo dhadkati rahi
Phle dur hum huye unse fir uski berookhi huyi
Isaq ke waadein ab humri duriyon ki wajah puch rahe the
Comments
Post a Comment
THANKYOU FOR YOUR PRECIOUS COMMENT.
ITS MY EMAil TRY IT IF YOU WANT TO CONTACT
ankur82garg@gmail.com